hawa ki aankh mein kajal nahin hai
diya ab ke koi ghayal nahin hai
usi ko mangta hun har dua mein
wo laDki jo mere qabil nahin hai
KHud apne aap ko mara hai main ne
so mera koi bhi qatil nahin hai
abuzar ki phaTi chadar hai duniya
ye tera surmai aanchal nahin hai
sakhi main tere jaisa to nahin hun
so mera lams to sandal nahin hai

Ghazal
Hawa ki aankh mein kajal nahin hai
Noman Farooq