اردو हिंदी
Hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya | Shaahi Shayari
hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya

Ghazal

Hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya

Ahmad Faraz

;

hawa ke zor se pindar-e-baam-o-dar bhi gaya
charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya

pukarte rahe mahfuz kashtiyon wale
main Dubta hua dariya ke par utar bhi gaya

ab ehtiyat ki diwar kya uThate ho
jo chor dil mein chhupa tha wo kaam kar bhi gaya

main chup raha ki isi mein thi aafiyat jaan ki
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya

sulagte sochte viran mausamon ki tarah
kaDa tha ahd-e-jawani magar guzar bhi gaya

jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo nam lab pe raha zehn se utar bhi gaya

phaTi phaTi hui aankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis shaKHs ki wo mar bhi gaya

magar falak ko adawat usi ke ghar se thi
jahan 'faraaz' na tha sail-e-gham udhar bhi gaya