hawa ke honT khulen saat-e-kalam to aae
ye ret jaisa badan aandhiyon ke kaam to aae
munafiqat ki sabhi tohmaten mujhe de de
mere tufail rafiqon mein tera nam to aae
use udas na kar de ye meri sust-rawi
main ab ke sust chalun wo subuk-KHiram to aae
gham-e-hayat gham-e-rozgar be-watani
sukun se jo Dhale kash aisi sham to aae
Ghazal
Hawa ke honT khulen saat-e-kalam to aae
Ghalib Ayaz