hawa ke hausle zanjir karna chahta hai
wo meri KHwahishen taswir karna chahta hai
nazar jis se chura kar main guzarna chahti hun
wo mausam hi mujhe tasKHir karna chahta hai
visal-e-did ko aankhen chhupana chahti hain
magar dil waqia tahrir karna chahta hai
mizaj-e-baad-o-baran aashna hai shauq lekin
nae diwar-o-dar tamir karna chahta hai
mere sare sawal us ki nazar ke muntazir hain
wo danista magar taKHir karna chahta hai

Ghazal
Hawa ke hausle zanjir karna chahta hai
Shahnaz Noor