اردو हिंदी
Hawa-e-wadi-e-dushwar se nahin rukta | Shaahi Shayari
hawa-e-wadi-e-dushwar se nahin rukta

Ghazal

Hawa-e-wadi-e-dushwar se nahin rukta

Zafar Iqbal

;

hawa-e-wadi-e-dushwar se nahin rukta
musafir ab tere inkar se nahin rukta

safina chal jo paDa hai chaDhao par to kabhi
muKHalif aati hui dhaar se nahin rukta

mera KHayal hai tadbir koi aur hi kar
hujum ab teri talwar se nahin rukta

Thaharna chahe to Thahre ga aap hi warna
hamari koshish-e-bisyar se nahin rukta

ab is ke sath hi bah jaiye ki ye sailab
KHas-o-KHumar ke ambar se nahin rukta

rawan jo hai safar-e-manzil-e-sada har-chand
ye qafila mere mear se nahin rukta

ye aise log hain aadat paDi hui hai jinhen
ye mal sardi-e-bazar se nahin rukta

musafirat mein jo haare na hausla rahi
to lutf-e-saya-e-ashjar se nahin rukta

hamara ishq rawan hai rukawaTon mein 'zafar'
ye KHwab hai kisi diwar se nahin rukta