hawa-e-mausam-e-gul se lahu lahu tum the
khile the phul magar un mein surKH-ru tum the
zara si der ko mausam ka zikr aaya tha
phir us ke baad to mauzu-e-guftugu tum the
aur ab ki jab surat nahin talafi ki
main tum se kaise kahun meri aarzu tum the
kahaniyon mein to ye kaam azhdahe ka tha
meri jab aankh khuli mere chaar-su tum the
Ghazal
Hawa-e-mausam-e-gul se lahu lahu tum the
Abbas Tabish