hawa-e-ishq mein shamil hawas ki lu hi rahi
baDha bhi rabt to be-rabt guftugu hi rahi
na aai hath mein titli-gudaz KHushbu ki
gul-e-badan ki mahak mere chaar-su hi rahi
wo dasht dasht si aankhen chaman chaman chehra
sarab-e-KHauf ki ek lahr ru-ba-ru hi rahi
tulua ufuq pe hai ab tak wahi sitara-e-baad
main bhul jaun use dil mein aarzu hi rahi
hazar bar luTa husn-e-barg-o-bar magar
rag-e-shajar mein rawan mauj-e-rang-o-bu hi rahi
hari ruton ki hui aasman se barish
magar zamin-e-tamanna lahu hi rahi
safar ki dhup ne tan-man jala diya mera
madar-e-dasht mein sae ki justuju hi rahi
hua na dur mere dil se zang-e-mahrumi
tamam raat rawan chashm-e-ab-ju hi rahi
abad abad se meri KHud se jang jari hai
ye KHair-o-shar ki bala mujh se du-badu hi rahi
ubalta rahta hai sine mein karb ka lawa
libas-e-KHak ko bhi hajat-e-rafu hi rahi
tawaf-e-shahr-e-nigaran mera hi jurm nahin
zan-e-hawa bhi to aawara ku-ba-ku hi rahi

Ghazal
Hawa-e-ishq mein shamil hawas ki lu hi rahi
Siddique Afghani