hawa chali to pasina ragon mein baiTh gaya
nami ka zahr shajar ki jaDon mein baiTh gaya
udas kyun na hon ab tere qurb ki subhen
shab-e-firaq ka Dar sa dilon mein baiTh gaya
abhi fazaon mein barq-e-sada hi kaundi thi
zamana KHauf ke mare gharon mein baiTh gaya
na kaam aa saki aaza ki chaar-diwari
makan badan ka zamin ki tahon mein baiTh gaya
umid-o-bim ke sae hain jis taraf dekhun
main chalte chalte ye kin jangalon mein baiTh gaya
hawa ka samna patte gharib kya karte
khaDa daraKHt bhi tez aandhiyon mein baiTh gaya
baras paDin mere sar par siyahiyan 'siddiq'
sahar ka rup-nagar zulmaton mein baiTh gaya

Ghazal
Hawa chali to pasina ragon mein baiTh gaya
Siddique Afghani