hawa aai na indhan aa raha hai
charaghon mein naya-pan aa raha hai
jamal-e-yar tere jhankne se
kuen se pani raushan aa raha hai
main galiyon mein nikalna chahta hun
mere raste mein aangan aa raha hai
mujhe shahtut ki KHwahish bahut thi
magar mujh par to jaman aa raha hai
miyan main apni jaanib aa raha hun
KHabar kar do ki dushman aa raha hai
mujhe KHairaat banTi ja rahi hai
mere hathon mein bartan aa raha hai
gale mein haar aana chahiye tha
gale mein tauq-e-gardan aa raha hai
Ghazal
Hawa aai na indhan aa raha hai
Aatif Kamal Rana