hausle ki kami se Darta hun
dur ki raushni se Darta hun
dekh kar bastiyon ki virani
ab to har aadmi se Darta hun
aql taron ko chhu ke aati hai
aur main chandni se Darta hun
pahle Darta tha tirgi se main
aur ab raushni se Darta hun
meri bechaargi to ye bhi hai
aap ki dosti se Darta hun
ye bhi ek phans bin na jae kahin
gham ki aasudgi se Darta hun
teri zulfon ki chhanw mein rah kar
aane wali KHushi se Darta hun
tum to tark-e-wafa bhi kar loge
aur mein us ghaDi se Darta hun
be-gharaz kaun hai ki ai 'shaukat'
main ye kah dun usi se Darta hun

Ghazal
Hausle ki kami se Darta hun
Shaukat Pardesi