اردو हिंदी
Kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum | Shaahi Shayari
kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum

Ghazal

Kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum

Hatim Ali Mehr

;

kaba-o-but-KHana walon se juda baiThe hain hum
ek but-e-na-ashna se dil laga baiThe hain hum

aap se apne ko diwana bana baiThe hain hum
ku-e-jaanan chhoD ke jangal mein aa baiThe hain hum

kyun mukaddar kar diya nazuk-mizajon ka mizaj
kucha-e-jaanan se chal ja ai saba baiThe hain hum

ye dua kaba mein karte hain ki us but se mila
tere darwaza par aa kar ai KHuda baiThe hain hum

wo to kahte hain ki uTh jaen mere kucha se aap
hae kitni ho gai hain be-haya baiThe hain hum

sargirani hai abas hum KHaksaron se tumhein
ya to miTne ko basan-e-naqsh-e-pa baiThe hain hum

apna baatin KHub hai zahir se bhi ai jaan-e-jaan
aankh ke laDne se pahle ji laDa baiThe hain hum

main to kahta hun ki bazm-e-ghair hai yan se uTho
aur wo kahte hain mujh se tujh ko kya baiThe hain hum

ya hamein uThwa diya ya uTh gae hain aap wo
gar kabhi majlis mein bhi pas un ke ja baiThe hain hum

bazm-e-taswir apni sohbat ho gai hai in dinon
aashna din mein bhi ab na-ashna baiThe hain hum

paD gaya hai hath jab angiya pe us KHush-gat ki
surat-e-shahbaz chiDiya ko daba baiThe hain hum

guhar se uThne ki nahin bahar nahin rakhne ke paon
yar ke sar ki qasam ai 'mehr' kha baiThe hain hum