warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua
kohkan se dosti majnun se yarana hua
wahshat-afza kis qadar apna bhi afsana hua
mera qissa sunte sunte qais diwana hua
KHar-e-sahra par KHiraman jab main diwana hua
KHun-e-pa se rashk-e-paen bagh virana hua
aankh nargis se laDa kar aashna hi andalib
ai gul-e-tar ek main aur sabza begana hua
pahniye kafni qanaat hai libas faqir mein
kab tabdil us ko shakl raKHt-e-shahana hua
kal wahan par howega gor-e-ghariban ka maqam
aaj jis ja par bana qasr-e-amirana hua
baiat-e-daste-subu ka pas pyala pi liya
tak ka shajara mila mashrab bhi rindana hua
sham-e-kaukal dekhte hi anjuman mein phaTak gaya
ek jale tan aashiqon mein hum sa parwana hua
Tal gai sar se bala apna muqaddar khul gaya
mu-e-sar mein aaj dast-e-yar ka shana hua
ab kahin koi Thikana hi nahin juz ku-e-yar
murtad-e-kaba hua mardud-e-but-KHana hua
jam-e-kausar saqi-e-kausar bhi denge hashr mein
dast-e-saqi se inayat mujh ko paimana hua
kohr ki qutuben hain ai mah teri tasbih mein
kaukab-e-sayyara san raushan har ek dana hua
kaun aisa hai jo mujh bekas ki dildari kare
darpa-e-jaan dost dushman apna begana hua
KHub hi pakDe ye kafir bhi bala ki sanp the
panja-e-afsun-gar ka zulfon mein teri shana hua
tum bata do kis jagah rakhe hain dil ushshaq ke
DhunDh lunga aap mera dil hi pahchana hua
sozan-e-isa ne us ke panw ke moze siye
panja-e-KHurshid hazir le ke dastana hua
chahta hun apni zanjiren junun ke josh mein
rizq mere waste zanjir ka dana hua
dar-ba-dar mara phira main justuju-e-yar mein
zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua
nam par mujh baada-kash ke sad chashm-e-mast hai
nama-e-amal mera KHat paimana hua
mere ghar aaya hai mere sher sunne ko wo 'mehr'
ghairat-e-baitushsharaf apna bhi kashana hua
Ghazal
Warid koh-e-bayaban jab mein diwana hua
Hatim Ali Mehr