hasti-o-adam mein nafas-e-chand bashar ke
jhonke hain hawa ke na idhar ke na udhar ke
jame mein sati ke jo hua shaiKH se Dar ke
hindu ne wahin phunk diya aag mein dhar ke
joban ko dikhata hai wo jis dam mere dil ki
rah jati hai har choT hababon se ubhar ke
jo mar ke gaya qabr ki galiyon mein hua gum
raste hain ajab bhul-bhulayyan tere ghar ke
aankh us ki khule ya na khule subh-e-shab-e-wasl
apni to sahar ho gai bajte hi gajar ke
kya jite-ji pahunchenge KHizar KHuld mein ja kar
bahram se tai gor ki manzil hui mar ke
hosh-o-KHirad-o-tab-o-tawan dur hon sare
ek dagh-e-jigar par na mere pas se sar ke
jite hain na marte hain paDe jhul rahe hain
gahwara-e-jumban hain idhar ke na udhar ke
kya baal-fishani karen ai 'shad' ki hum ko
chhoDa bhi jo zalim ne par-o-baal katar ke
Ghazal
Hasti-o-adam mein nafas-e-chand bashar ke
Shad Lakhnavi