hasti ko apni shola-ba-daman karenge hum
zindan mein bhi gae to charaghan karenge hum
barham hon bijliyan ki hawaen KHilaf hon
kuchh bhi ho ehtamam-e-gulistan karenge hum
daman ki kya bisat gireban hai chiz kya
nazr-e-bahaar naqd-e-dil o jaan karenge hum
zulmat se be-karan to ujale bhi kam nahin
har dagh-e-dil ko aaj farozan karenge hum
ab dekhte hain kaun uData hai rang-o-bu
apna lahu sharik-e-bahaaran karenge hum
jin ko fareb-e-shauq mein aana tha aa chuke
ab to tere karam ko pashiman karenge hum
Ghazal
Hasti ko apni shola-ba-daman karenge hum
Qabil Ajmeri

