hasti ke har ek moD pe aaina bana hun
miT miT ke ubharta hua naqsh-e-kaf-e-pa hun
wo dast-e-talab hun jo dua ko nahin uThta
jo lab pe kisi ke nahin aai wo dua hun
is daur mein insan ka chehra nahin milta
kab se main naqabon ki tahen khol raha hun
basti mein basere ka irada to nahin tha
diwana hun sahra ka pata bhul gaya hun
jati hi nahin dil se teri yaad ki KHushbu
main daur-e-KHizan mein bhi mahakta hi raha hun
Ghazal
Hasti ke har ek moD pe aaina bana hun
Moghisuddin Fareedi