hasti ek naqsh-e-inikasi hai
ye haqiqat nahin qayasi hai
zauq tishna hai ruh pyasi hai
sara mahaul hi siyasi hai
khub gai dil mein har ada us ki
kaj-adai bhi KHush-ada si hai
dil hai afsurda to bahaar kahan
bagh mein har taraf udasi hai
un ko pa kar qarar aaega
ahl-e-dil ye bhi KHush-qayasi hai
sau hijabon mein be-hijab hai husn
sau libason mein be-libasi hai
muddaa tak bayan nahin hota
bad-hawasi si bad-hawasi hai
un ko dekha nahin 'figar' magar
un ke jalwon se ru-shanasi hai
Ghazal
Hasti ek naqsh-e-inikasi hai
Figar Unnavi