اردو हिंदी
Hasti-e-nist-numa dida-e-hairan samjha | Shaahi Shayari
hasti-e-nist-numa dida-e-hairan samjha

Ghazal

Hasti-e-nist-numa dida-e-hairan samjha

Pandit Jawahar Nath Saqi

;

hasti-e-nist-numa dida-e-hairan samjha
tujh ko dauran-e-baqa KHwab-e-pareshan samjha

kufr-o-iman ka ajab rang hai nairangi mein
ye wo nairang hai kafir na musalman samjha

laili-e-shoKH-ada ain-e-tasawwur jo bani
qais ko daman-e-sahra mein huda-KHwan samjha

wusat-e-mashrab-e-rindan ka nahin hai mahram
zahid-e-sada hamein be-sar-o-saman samjha

rang-e-fitrat ne banaya hai jo majzub-e-qimash
manzar-e-alam-e-nairang-e-bayaban samjha

salik-e-rah-e-talab aap hue rah-e-ghalat
jada-e-manzil-e-dushwar ko aasan samjha

jam-e-sarshaar se masrur rahega 'saqi'
tera mastana bhi ai saqi-e-dauran samjha