hasrat-o-ummid ka matam raha
ye wo dil hai jo sada pur-gham raha
ek na ek mujh par sada aalam raha
main kabhi be-jaan kabhi be-dam raha
meri qismat ki kaji ka aks hai
ye jo barham gesu-e-pur-KHam raha
wo dil-e-gham-ghin hai mera gham-pasand
gham ke jaane ka bhi jis ko gham raha
dil ko har-dam ek pareshani rahi
zulf-e-jaanan ki tarah barham raha
wo namak-afshaniyan qatil ne kin
zaKHm-e-dil sharminda-e-marham raha
baDhte baDhte ho gaya nasur dil
KHun ka qatra jo dil mein jam raha
tha faqat ek gham madar-e-zindagi
gham raha dil mein to wo bhi kam raha
girya-o-zari yahi 'saqi' rahi
dil ki hasrat ka sada matam raha
Ghazal
Hasrat-o-ummid ka matam raha
Pandit Jawahar Nath Saqi