hasin yaadon se KHalwat anjuman hai 
KHamoshi naghma-zar-e-sad-suKHan hai 
nigar-e-gul-badan gul-pairahan hai 
dhanak raqsan chaman-andar-chaman hai 
meri diwangi par hansne walo 
yahan farzangi diwana-pan hai 
mubarak rah-raw-e-rah-e-tamanna 
watan ghurbat mein hai ghurbat watan hai 
Dara sakte nahin KHunin andhere 
nigah-e-be-dilan zulmat-shikan hai 
KHushi arzan hai bazar-e-jahan mein 
baha-e-gham mata-e-jaan-o-tan hai 
azal se 'wajd' har qatre ke dil mein 
qayamat-KHez tufan maujzan hai
        Ghazal
Hasin yaadon se KHalwat anjuman hai
Sikandar Ali Wajd

