hasin tujh se tera husn-e-talab tha
main apne aap ko hasil hi kab tha
adab malhuz ta hadd-e-adab tha
main bina bhi jo na-bina-laqab tha
main apne aap se bichhDa to jaana
na milna bhi tere milne ka Dhab tha
tere gham ki masarrat allah allah
jo nam-dida tha wo KHanda-ba-lab tha
azal se yun tujhe sab jaante hain
koi pahchanta ab hai na tab tha
har ek laghzish pe phailae tha bazu
tera gham rabarana bhi ghazab tha

Ghazal
Hasin tujhse tera husn-e-talab tha
Ram Awtar Gupta Muztar