hashr mein aur hi aasar nazar aate hain
mere hami shah-e-abrar nazar aate hain
dil-e-betab ko ye kah ke sambhaala shab-e-gham
Thahar ab subh ke aasar nazar aate hain
qalb-e-momin ki ajab shan hai allah allah
sar jhukata hun to anwar nazar aate hain
shab-e-asra na raha ek bhi parda hail
saf haq ke unhen didar nazar aate hain
dast-e-qudrat ne banai hai wo surat teri
jis ke kaunain KHaridar nazar aate hain
chhup nahin sakte hain us parda nashin ke aashiq
hum ne dekhe hain sar-e-dar nazar aate hain
shafe-e-hashr shafaat pe kamar-basta hai
aaj har samt gunahgar nazar aate hain
faiz-e-saqi se hai mai-KHana-e-hasti aabaad
aaj mai-KHwar hi mai-KHwar nazar aate hain
apne baatin ko na dekha kabhi zahid tu ne
hum to mai-KHwar hain mai-KHwar nazar aate hain
abr aate hain jo furqat mein teri ai saqi
surat-e-dida-e-KHunbar nazar aate hain
ghuncha-e-dil jo tere hijr mein afsurda hai
bagh mein phul mujhe KHar nazar aate hain
maraz-e-ishq ki haalat koi hum se puchhe
wo to achchhe hain jo bimar nazar aate hain
hath KHali hai magar dil to ghani hai apna
chashm-e-maKHluq mein zardar nazar aate hain
chhuT jaenge musibat se ab insha-allah
hijr mein maut ke aasar nazar aate hain
Dagmagate hain qadam rah-e-wafa mein mere
marhale ishq ke dushwar nazar aate hain
is qadar mahw rahe hirs-o-hawa mein 'rasiKH'
ab to surat se gunahgar nazar aate hain

Ghazal
Hashr mein aur hi aasar nazar aate hain
Mohammad Yusuf Rasikh