اردو हिंदी
Hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha | Shaahi Shayari
hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha

Ghazal

Hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha

Khaleel Tanveer

;

hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha
dilon se dhul na saka wo ghubar-e-kina tha

zara si Thes lagi thi ki chur chur hua
tere KHayal ka paikar bhi aabgina tha

rawan thi koi talab si lahu ke dariya mein
ki mauj mauj bhanwar umr ka safina tha

wo jaanta tha magar phir bhi be-KHabar hi raha
ajib taur tha us ka ajab qarina tha

bahut qarib se guzre magar KHabar na hui
ki ujDe shahr ki diwar mein dafina tha