اردو हिंदी
Haris ho na jahan mein na apna ji bhaTka | Shaahi Shayari
haris ho na jahan mein na apna ji bhaTka

Ghazal

Haris ho na jahan mein na apna ji bhaTka

Pandit Jawahar Nath Saqi

;

haris ho na jahan mein na apna ji bhaTka
zaban bigaD gai gar us ko aa gaya chaTka

jo shahrah gaya kuchh nahin hua khaTka
bhaTak raha hai musafir hua jo oghaT ka

qaba pahante jo barham hua wo chust-qaba
diya hai chin-e-jabin ne bhi sath silwaT ka

yahan bhi ishwa-e-rana khaDi lagata hai
wo bahr-e-husn hua aashna jo karwaT ka

hamari waza se aashufta ho gaya majnun
hamein jo najd ke ban mein jinhon ne de paTka

nazar hui hai pareshan hijab mein hai wo ruKH
tilism khul nahin sakta hai un ke ghunghaT ka

kiya hai zulf-o-ruKH-o-chashm ne jo sar-gashta
nikal ke ghar se mera dil tirahe mein bhaTka

kise hai tab jo dekhe nigah-e-qahr-alud
koi udhar ko chala aur koi idhar saTka

hamare ashk-e-musalsal zara nahin rukte
ye ghaT KHub rawan ho raha hai panghaT ka

hamara rang-e-tabii hai sulh-e-kul mashrab
pasand hum ko nahin qafiya bhi jhanjhaT ka

kahenge 'saqi'-e-sarmast sher-e-tar kya hum
hamare hisse mein aaya hai jam talchhaT ka