اردو हिंदी
Harim-e-lafz mein kis darja be-adab nikla | Shaahi Shayari
harim-e-lafz mein kis darja be-adab nikla

Ghazal

Harim-e-lafz mein kis darja be-adab nikla

Iftikhar Arif

;

harim-e-lafz mein kis darja be-adab nikla
jise najib samajhte the kam-nasab nikla

sipah-e-sham ke neze pe aaftab ka sar
kis ehtimam se parwar-digar-e-shab nikla

hamari garmi-e-guftar bhi rahi be-sud
kisi ki chup ka bhi matlab ajab ajab nikla

baham hue bhi magar dil ki wahshaten na gain
visal mein bhi dilon ka ghubar kab nikla

abhi uTha bhi nahin tha kisi ka dast-e-karam
ki sara shahr liye kasa-e-talab nikla