harim-e-dil mein Thahar ya sara-e-jaan mein ruk 
ye sab makan hain tere kisi makan mein ruk 
abhi main joD raha hun yaqin ka pyala 
tu aisa kar ki abhi kasa-e-guman mein ruk 
main tujh ko bandh lun apni ghazal ke sheron mein 
KHayal-e-yar zara der mere dhyan mein ruk 
bahut si qaus-e-quzah ban rahi hain aankhon mein 
ai haft-rang pari meri dastan mein ruk 
main apne sheron ka mear kuchh buland karun 
mere huruf mein zam ho meri zaban mein ruk
        Ghazal
Harim-e-dil mein Thahar ya sara-e-jaan mein ruk
Mirza Athar Zia

