harif-e-waqt hun sab se juda hai rah meri
na qasr-e-shah se nisbat na KHanqah meri
kisi se koi talluq na rasm-o-rah meri
ki ab hai KHema-e-tanhai KHanqah meri
na jaane kis ke tajassus mein gharq rahti hai
bhaTakti phirti hai chaaron taraf nigah meri
kisi ke ru-ba-ru main sar-nigun hua hi nahin
meri ana ne salamat rakhi kulah meri
main apne mulk-e-suKHan se faraaz chahta hun
mujhe hisar mein rakhti hai ab sipah meri
charagh kis liye dahliz-e-dil pe raushan hain
ye kis ki did ko aankhen hain farsh-e-rah meri
kuchalta rahta hun KHauf-e-KHuda se sham o sahar
ki sar uThati nahin KHwahish-e-gunah meri
main apne-ap mein sarsabz phir bhi rahta hun
agarche kisht-e-tamanna hai be-giyah meri
na jaane kitne dilon mein shigaf kar Dale
agar nikal gai 'aKHtar' jo dil se aah meri

Ghazal
Harif-e-waqt hun sab se juda hai rah meri
Sultan Akhtar