harf tum apni nazakat pe na lana hargiz
hath bedad-o-sitam se na uThana hargiz
tum bhi chori ko yaqin hai na kahoge achchha
ab hamein dekh ke aankhen na churana hargiz
ishq hai ek magar aafat-e-nau hai har-dam
ye wo mazmun hai ki hoga na purana hargiz
yahi andaz to hain dil ke uDa lene ke
un ki tum nichi nigahon pe na jaana hargiz
sabab-e-qatl-e-mohabbat hai agar ai zalim
to mera jurm kisi ko na batana hargiz
dil-e-KHun-gashta ka ho raaz na ifsha ai chashm
ashk-e-gul-rang ka Tapka na lagana hargiz
hun tunak-zarf na jhelunga sharab-e-pur-zor
parda yakbar na chehre se uThana hargiz
hum se bimar bhi jaan-bar kahin hote hain masih
tum yahan aa ke na taklif uThana hargiz
jins-e-nayab ke hote hain hazaron gahak
tum pata apna kisi ko na batana hargiz
main to kya us se to musa bhi na sar-bar aae
imtihanan hamein jalwa na dikhana hargiz
jo chala tir-e-sitam dil se wo guzra ai charKH
tera KHali na gaya koi nishana hargiz
zikr barbaadi-e-dehli ka suna kar hamdam
neshtar zaKHm-e-kuhan par na lagana hargiz
aab-e-rafta nahin phir bahr mein phir kar aata
dehli aabaad ho ye dhyan na lana hargiz
wo to baqi hi nahin jin se ki dehli thi murad
dhoka ab nam pe dehli ke na khana hargiz
geti-afroz agar hazrat-e-nayyar rahte
itna tarik to hota na zamana hargiz
ab to ye shahr hai ek qalib-e-be-jaan hamdam
kuchh yahan rahne ki KHushiyan na manana hargiz
dar-e-mai-KHana hua band sada ye hai buland
yan harifan-e-qadah-KHwar na aana hargiz
allah allah wo nawwab-e-ulai ke kalam
jin se rangin nahin bulbul ka tarana hargiz
tu to hai 'anwar'-o-'maikash' ki judai ka nishan
dil-e-pur-dard se ai dagh na jaana hargiz
saut-e-bulbul taraf-angez sahi par hamdam
dard farsuda dilon ko na sunana hargiz
main hun ek majma-e-ahbab ka bichhDa gulchin
mujh ko gul-dasta-e-rangin na dikhana hargiz
jama hai majma-e-ahbab faza mein teri
ai tasawwur ye muraqqa na miTana hargiz
dil mein hain hasrat-o-andoh ke ambar lage
itna yakja na kahin hoga KHazana hargiz
saqi-e-bazm teri tarz-e-taghaful ke nisar
durd-e-mai ka bhi idhar jam na lana hargiz
qahr laenge ye talea jo zara bhi chete
ai falak KHwab se un ko na jagana hargiz
mahfil-e-aish se gar haz ho uThana ai dost
hum se aazurda-dilon ko na bulana hargiz
dar-e-fani mein na kar fikr-e-qayam ai nadan
guzar-e-sail hai yan ghar na banana hargiz
jin ke aiwan the ham-palla-e-qasr-e-qaisar
un ki milta nahin qabron ka Thikana hargiz
wo gae din jo chaman-zar mein dil lagta tha
sach hai yaksan nahin rahta hai zamana hargiz
ham-safiran-e-chaman sab hue garm-e-parwaz
ab KHush aata nahin gulzar mein jaana hargiz
zaghan-o-zagh ki gulshan mein sada hai har su
murgh-e-KHush-naghma na aawaz sunana hargiz
qasr-e-haali ke hawali mein zara tum 'majruh'
apni DeDh inT ki masjid na banana hargiz
Ghazal
Harf tum apni nazakat pe na lana hargiz
Meer Mehdi Majrooh