اردو हिंदी
Harf harf gundhe the tarz mushkbu ki thi | Shaahi Shayari
harf harf gundhe the tarz mushkbu ki thi

Ghazal

Harf harf gundhe the tarz mushkbu ki thi

Zehra Nigaah

;

harf harf gundhe the tarz mushkbu ki thi
tum se baat karne ki kaisi aarzu ki thi

sath sath chalne ki kis qadar tamanna thi
sath sath khone ki kaisi justuju ki thi

wo na jaane kya samjha zikr mausamon ka tha
main ne jaane kya socha baat rang-o-bu ki thi

is hujum mein wo pal kis tarah se tanha hai
jab KHamosh the hum tum aur guftugu ki thi