اردو हिंदी
Harf-e-inkar ki iqrar-e-wafa tha kya tha | Shaahi Shayari
harf-e-inkar ki iqrar-e-wafa tha kya tha

Ghazal

Harf-e-inkar ki iqrar-e-wafa tha kya tha

Hasrat Deobandi

;

harf-e-inkar ki iqrar-e-wafa tha kya tha
KHat mein ek jumla-e-mubham sa likha tha kya tha

us ka chehra tha qamar tha ki tasawwur mera
kal munDeri pe koi jalwa-numa tha kya tha

yak-ba-yak ho gaya ojhal wo nazar ke aage
dhund ka ek bagula sa uTha tha kya tha

muskuraata tha magar aankh bhi nam thi us ki
us ke sine mein koi dard chhupa tha kya tha

subh tak luT gaya sindur kai mangon ka
shab ke sannaTe mein ek shor uTha tha kya tha

bad-dua thi ki dua ye wahi jaane 'hasrat'
zer-e-lab us ne magar kuchh to kaha tha kya tha