har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo
phir shahr-e-pur-hujum se tanhai mang lo
mausam ka zulm sahte hain kis KHamushi ke sath
tum pattharon se tarz-e-shakebai mang lo
husn-e-talluqat ki jo yaadgar the
mazi se aise lamhon ki ranai mang lo
mango samundaron se na sahil ki bhik tum
han fikr-o-fan ke waste gahrai mang lo
samjho unhen jo dete hain ye mashwara tumhein
nargis se hath joD ke binai mang lo
wo so ke jyun hi uTThen pahunch jao un ke pas
aur un se inqalab ki angDai mang lo
'najmi' suna hai tum pe bhi mausam hai mehrban
baad-e-sumum se kabhi purwai mang lo
Ghazal
Har zaKHm-e-dil se anjuman-arai mang lo
Hasan Najmi Sikandarpuri