har uqda-e-tadir jahan khol rahi hai
han dhyan se sunna ye sadi bol rahi hai
angDaiyan leti hai tamanna teri dil mein
shishe mein pari naz ke par taul rahi hai
rah rah ke khanak jati hai saqi ye shab-e-mah
ek jam pila KHunki-e-shab bol rahi hai
dil tang hai shab ko kafan-e-nur pinha ke
wo subh jo ghunchon ki girah khol rahi hai
shabnam ki damak hai ki shab-e-mah ki dewi
moti sar-e-gulzar-e-jahan rol rahi hai
rakhti hai mashiyyat had-e-parwaz jahan bhi
insan ki himmat wahin par tol rahi hai
pahlu mein shab-e-tar ke hai kaun si duniya
jis ke liye aaghosh sahar khol rahi hai
har aan wo rag rag mein chaTakti hui kaliyan
us shoKH ki ek ek ada bol rahi hai

Ghazal
Har uqda-e-tadir jahan khol rahi hai
Firaq Gorakhpuri