har tarah yun hai dun hai be-mani
ishq bhi ek junun hai be-mani
mil gaya muzhda-e-bahaar mujhe
kya ye haijaan-e-KHun hai be-mani
sun raha hun ki wo nahin sunte
sharh-e-haal-e-zabun hai be-mani
wada-e-hashr ka bharosa kya
han hai be-kar hun hai be-mani
gham ki pur-iztirar rahon mein
justuju-e-sukun hai be-mani
husn ki ek ek baat fusun
ishq ka har fusun hai be-mani
jaise us ka wajud kuchh bhi na ho
sarguzisht apni yun hai be-mani
jalwa-e-ruKH hai un ka ba-matlab
apna soz-e-darun hai be-mani
shauq ka takmila nahin hota
zauq-e-duniya-e-dun hai be-mani
jis se wahshat ko KHud na wahshat ho
is tarah ka junun hai be-mani
gham ne bijli bana diya dil ko
imtihan-e-sukun hai be-mani
wo ye kah kar kabhi nahin sunte
haal-e-soz-e-darun hai be-mani
chashm-e-bad-dur un ki aaankhon mein
samri ka fusun hai be-mani
ishq-e-nakaam-e-husn ka qissa
kya kahun kya sunun hai be-mani
'nuh' tufan-e-bahr-e-ulfat mein
fikr-e-zabt-o-sukun hai be-mani

Ghazal
Har tarah yun hai dun hai be-mani
Nooh Narvi