har taraf yar ka tamasha hai
us ke didar ka tamasha hai
ishq aur aql mein hui hai shart
jit aur haar ka tamasha hai
KHalwat-e-intizar mein us ki
dar-o-diwar ka tamasha hai
sina-e-dagh dagh mein mere
sahn-e-gulzar ka tamasha hai
hai shikar-e-kamand-e-ishq 'siraj'
is gale haar ka tamasha hai
Ghazal
Har taraf yar ka tamasha hai
Siraj Aurangabadi

