har taraf parda-dar-e-zulmat hai
ek tabassum ki phir zarurat hai
Thahri Thahri hai waqt ki raftar
aalam-e-ghaur mein mashiyyat hai
hai guman kya yaqin ka saya
aur yaqin wahime ki shiddat hai
ishq bhi zindagi ki lanat tha
aql bhi zindagi ki lanat hai
KHud-numai mein jo hijab rahe
tirgi us ki ek alamat hai
shor-e-tahsin-e-narawa se 'jamil'
ye KHamoshi basa-ghanimat hai
Ghazal
Har taraf parda-dar-e-zulmat hai
Jameel Mazhari