har taraf har jagah be-shumar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi
subh se sham tak bojh Dhota hua
apni hi lash ka KHud mazar aadmi
har taraf bhagte dauDte raste
har taraf aadmi ka shikar aadmi
rose jita hua rose marta hua
har nae din naya intizar aadmi
ghar ki dahliz se gehun ke khet tak
chalta phirta koi karobar aadmi
zindagi ka muqaddar safar-dar-safar
aaKHiri sans tak be-qarar aadmi
Ghazal
Har taraf har jagah be-shumar aadmi
Nida Fazli