har taraf dhup ki chadar ko bichhane wala
kaam par nikla hai duniya ko jagane wala
apne har jurm ko purkhon ki wirasat kah kar
aib ko rit batata hai batane wala
aaj ek lash ki surat wo nazar aata hai
aatmaon se mulaqat karane wala
aql ki aankh se dekha hai tumhaare chhal ko
tisri aankh banata hai banane wala
apni masum baghawat pe baDa hai parasnn
kaTh ki top khilaunon mein sajaane wala
tir ki nok pe minakshi rahti hai sada
lakshya sadhega kahan tak ye nishane wala
nind phir aaegi 'sajid' tumhein be-fikri se
kaam koi na karo dil ko dukhane wala

Ghazal
Har taraf dhup ki chadar ko bichhane wala
Sajid Premi