har taraf bikhre hain rangin sae
rah-rau koi na Thokar khae
zindagi harf-e-ghalat hi nikli
hum ne mani to bahut pahnae
daman-e-KHwab kahan tak phaile
reg ki mauj kahan tak jae
tujh ko dekha tere wade dekhe
unchi diwar ke lambe sae
band kaliyon ki ada kahti hai
baat karne ke hain sau pairae
baam-o-dar kanp uThe hain 'baqi'
is tarah jhum ke baadal aae
Ghazal
Har taraf bikhar hain rangin sae
Baqi Siddiqui