har tamanna dil se ruKHsat ho gai
lijiye fursat hi fursat ho gai
kaun samjhae dar-o-diwar ko
jin ko tere did ki lat ho gai
hum nahin ab barishon ke muntazir
ab hamein sahra ki aadat ho gai
sarhadon ki bastiyon sa dil hua
wahshaton ki jin ko aadat ho gai
sahilon par kya gharondon ka wajud
TuTna hi in ki qismat ho gai
rahaton ki bhi talab baqi nahin
dard se aise mohabbat ho gai
Ghazal
Har tamanna dil se ruKHsat ho gai
Neena Sahar