har tabassum ko chaman mein girya-saman dekh kar
ji laraz jata hai in ghunchon ko KHandan dekh kar
aaKHir aaKHir hosh hi wahshat bhi tha hairat bhi tha
dil ko aalam-afrin sahra-bad-aman dekh kar
shewa apna gham-parasti qibla apna KHak-e-dil
ruh-e-gham ko paikar-e-KHaki mein insan dekh kar
har tasalli se siwa hoti gai dil ki taDap
dard kuchh se kuchh hua saman-e-darman dekh kar
us ko inam-e-KHudi aur is par lutf-e-be-KHudi
wo karam karte hain zarf-e-ahl-e-irfan dekh kar
maani-e-surat mein hum ne teri surat dekh li
teri qudrat dekh li insan ko insan dekh kar
qabr-e-'fani' par main wo barchida-daman ai nasim
muntashir kar KHak lekin un ka daman dekh kar
Ghazal
Har tabassum ko chaman mein girya-saman dekh kar
Fani Badayuni

