اردو हिंदी
Har tar-e-nafas Khaar hai malum nahin kyun | Shaahi Shayari
har tar-e-nafas Khaar hai malum nahin kyun

Ghazal

Har tar-e-nafas Khaar hai malum nahin kyun

Jami Rudaulvi

;

har tar-e-nafas KHar hai malum nahin kyun
aasan bhi dushwar hai malum nahin kyun

sau bar marun aur jiyun tab unhen paun
dil is pe bhi tayyar hai malum nahin kyun

sau tarah ke aaram mayassar sahi lekin
dil jine se bezar hai malum nahin kyun

jo lazzati-e-jaur-o-jafa tha usi dil par
ek shoKH-nazar bar hai malum nahin kyun

ek bar mili un se nazar pi nahin koi
phir bahki si raftar hai malum nahin kyun

sau jaan se hum jis pe fida hote hain din-raat
wo darpai-e-azar hai malum nahin kyun

'jami' wo muKHatab hain magar arz-e-tamanna
phir bhi mujhe dushwar hai malum nahin kyun