har-su KHushbu ko fazaon mein bikharta dekhun
jab kisi shaKH pe ek phul ko marta dekhun
apni aankhon mein naya KHwab saja lun koi
jab kisi KHwab ki tabir ko marta dekhun
apne ham-rah lahu roti hui aankhon par
nind ka bojh liye shab ko utarta dekhun
apna miTTi ka diya aur bhi raushan ho jae
jab kabhi chand ko aangan mein utarta dekhun
khiDkiyan khol lun har sham yunhi sochon ki
phir usi rah se yaadon ko guzarta dekhun
'shama' mat toDna ehsas ka aaina agar
guzre waqton ka koi aks utarta dekhun
Ghazal
Har-su KHushbu ko fazaon mein bikharta dekhun
Syeda Nafis Bano shama