har shaKH pe thi wafa ki qindil 
ai shahr bata kahan wo ban hai 
bajti hui KHun ki rawani 
KHwahish ki giraft mein badan hai 
laDte laDte bikhar gae hain 
ab jo bhi jahan hai nara-zan hai 
har jihat mujhe pukarti hai 
har samt wo rang-e-pairahan hai 
leta hai wajud garm sansen 
ek shola-e-shauq wo badan hai 
ye kaun dhanak naha ke nikli 
gul-buTa chaman chaman hai
        Ghazal
Har shaKH pe thi wafa ki qindil
Abul Hasanat Haqqi

