اردو हिंदी
Har samt sukut bolta hai | Shaahi Shayari
har samt sukut bolta hai

Ghazal

Har samt sukut bolta hai

Parveen Fana Syed

;

har samt sukut bolta hai
ye kaun se jurm ki saza hai

hain panw lahuluhan lekin
manzil ka pata to mil gaya hai

ab lae ho muzhda-e-bahaaran
jab phul ka rang uD chuka hai

zaKHmon ke diye ki lau main raqsan
arbab-e-junun ka rat-jaga hai

ab tere siwa kise pukarun
tu mere wajud ki sada hai