اردو हिंदी
Har samt shor-e-banda o sahib hai shahr mein | Shaahi Shayari
har samt shor-e-banda o sahib hai shahr mein

Ghazal

Har samt shor-e-banda o sahib hai shahr mein

Zafar Ajmi

;

har samt shor-e-banda o sahib hai shahr mein
kya ahd-e-talKH hifz-e-maraatib hai shahr mein

har na-rawa rawa hai ba-in nam-e-maslahat
ek kar-e-ishq ghair-munasib hai shahr mein

kis husn-e-pur-tajalli ki har chiz hai asir
haibat ye kis ke hukm ki ghaalib hai shahr mein

ek KHauf-e-dushmani jo taaqub mein sab ke hai
ek harf-e-lutf jo kahin ghaeb hai shahr mein

main tanha bina shaKHs hun amboh-e-KHalq mein
sab aainon ka ruKH meri jaanib hai shahr mein

is KHak-e-murda par kise aawaz den 'zafar'
hijrat hum aise logon pe wajib hai shahr mein