har sans mein hai sarir-e-KHama
main KHud ko har aan likh raha hun
kam-zaiqa aashna hain jis ke
ek aisi zaban likh raha hun
patthar hain tamam lafz lekin
main phul saman likh raha hun
raushan hai yaqin ki raushnai
ya apne guman likh raha hun
in dast-burida mausamon mein
allah ki shan likh raha hun
diwar chaTaKH rahi hai mujh mein
sahra ko makan likh raha hun
ye marifat-e-ghazal to dekho
anjaan ko jaan likh raha hun
Ghazal
Har sans mein hai sarir-e-KHama
Shabnam Rumani