اردو हिंदी
Har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat | Shaahi Shayari
har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat

Ghazal

Har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat

Wahab Danish

;

har raushni ki bund pe lab rakh chuki hai raat
baDhne lage zamin ki taraf tirgi ke hat

jangal khaDe hain bhed ke aur ajnabi shajar
shaKHen nahin salib ki dushwar hai najat

ho ke kabhi udas yahan baiThta to tha
chal ke kisi daraKHt se puchhen to us ki baat

hathon mein gar nahin to nigahon ko dijiye
us sahib-e-nisab-e-badan se koi zakat

in parbaton ke bich thi mastur ek gupha
patthar ki narmiyon mein thi mahfuz kaenat