har rasta pur-bahaar hua hai abhi abhi
dil dil ka raazdar hua hai abhi abhi
daman ki dhajjiyon ko sitaron se bandh kar
koi falak ke par hua hai abhi abhi
us ko pata nahin hai KHizan ke mizaj ka
wo waqif-e-bahaar hua hai abhi abhi
ishq-e-bashar se ishq-e-KHuda mo'tabar hua
ye nukta aashkar hua hai abhi abhi
ashkon mein tair uTThi lahu ki lakir si
dil par nazar ka war hua hai abhi abhi
aa ja KHuda ke waste aa ja na der kar
dil mera wa-guzar hua hai abhi abhi
maujon ki sina-kubi batati hai barmala
dariya ke koi par hua hai abhi abhi
us par likhi thi jaan-e-mohabbat ki dastan
daman jo tar tar hua hai abhi abhi
Ghazal
Har rasta pur-bahaar hua hai abhi abhi
Jan Kashmiri