اردو हिंदी
Har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai | Shaahi Shayari
har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai

Ghazal

Har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai

Ikram Azam

;

har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai
bedad zamana bhi kisi dad ki zid hai

har KHair kisi shar se baqa-yab hui hai
ye hsun-e-tadul bhi to azdad ki zid hai

ab aankhen bhala kis tarah taqsim kare man
diwaren khaDi karna to aulad ki zid hai

girya nahin maqul ba-yaad-e-kas-e-rafta
lekin ye tamasha dil-e-nashad ki zid hai

main rasta bhula hua pyaada hun mujhe kya
rahbar ko agar jada-e-barbaad ki zid hai

main KHud se nibhane ka rawadar nahin tha
ye pahli mohabbat mere ham-zad ki zid hai

hain fikr ke aasar KHudaon ki jabin par
ek abd-e-ziyan-kar ko ilhad ki zid hai