اردو हिंदी
Har qadam KHauf hai dahshat hai riya-kari hai | Shaahi Shayari
har qadam KHauf hai dahshat hai riya-kari hai

Ghazal

Har qadam KHauf hai dahshat hai riya-kari hai

Faiyyaz Rashk

;

har qadam KHauf hai dahshat hai riya-kari hai
raushni mein bhi andheron ka safar jari hai

taqat-e-kufr ne kohram macha rakkha hai
jaane kis kis ko miTane ki ye tayyari hai

mil ke sab qahr bapa karte hain insanon par
hai junun zehn mein aur aankh mein chingari hai

apne andaz se ek sath yahan par rahna
ye hamari hi nahin teri bhi lachaari hai

ho gharib aur amir chahe ho buDha bachcha
kaun hai apni jise jaan nahin pyari hai

hum ne har ahd mein rakkha hai bharam tera jab
tu hi ai waqt bata kya ye wafadari hai

us ko duniya mein koi aankh dikha sakta hai kya
'rashk' jis qaum mein ehsas hai bedari hai