اردو हिंदी
Har nazar mein hai asasa apna | Shaahi Shayari
har nazar mein hai asasa apna

Ghazal

Har nazar mein hai asasa apna

Yusuf Hasan

;

har nazar mein hai asasa apna
chaak-dar-chaak hai KHema apna

koi partaw hai na saya us ka
jis ke hone se hai hona apna

kis ki lau rah-e-sahar dekhegi
sham ki sham hai shoala apna

lipTe jate hain kinaron se bhi
aur dariya pe bhi dawa apna

chhoD baiThe hain faqiri lekin
abhi toDa nahin kasa apna

dar-e-KHusraw pe chala hai farhad
rehn rakh aae na tesha apna

kin gumanon mein ghire ho 'yusuf'
kabhi dekho to sarapa apna